Pages

Search

Custom Search

Thursday, August 28, 2014

Aaj ka inqalaab

Aag hai mere seene mein jo inqalaab ki aawaz kahe...
Josh hai meri sasso mein jo Jaikaar ka shor Kare...
Pani mein bhi aag laga de vindhwans  aisa ayega...
Prani mangega jeevan par jungle na Bach payega....

Inqalabe hind ki ek bulaand awaz mein bhi hu...
Badalte zamane ki ek nayi pehchaan mein hu....
Rastoon mein aayengi kayi mushkil to bhi kya...
Itne dosto ke bich mein ek dushman aaye to kya....

Kabhi na sone waale zamaane mein kayi bane the....
Phir bhi jaagte hue sote insaan yahan bahut the....
Waqt hai takaat apni har kadam aajmane ka ....
Yahi to tarika hai in rah ke Pathar todne ka ...

Bejuban kayi milenge humme bahar nikalne par...
Kasht dekhenge jeevan ke diye unki aankhon par....
Kaafil mein nikale the Jo ghar se kuch badalne...
Aaj bhi vo roj phirte hai bas ek safalta se Milne...

Kaaton se bhare iss zamane ki ye pehchan hai...
Dard bhi yahan sabke liye bas ek parchayi hai....
Khushi ke chotte se pal tu yahan jarur payega....
Aaj ka inqalaab hi tujhe uske karib leke ayega....

No comments: