Pages

Search

Custom Search

Wednesday, August 22, 2012

Yaadien Tumhari

Aaj bhi vo galiyan waise hi hai,
aaj bhi vo ghar wahin par hai.
Bas aaj nahi hai to vo sab dost,
jinke saath hote the hum roj.

Masti se bhare the vo sab lamhe,
ghumne me nikalte the vo lamhe.
Tanhai si vo chod gaye ab dil mein,
rulate to kabhi hasate se pal ve.

Saadiyon se lagte hai ab ye din,
un raat bharke hungamo ke bin.
jaane kiss awaz ki talaash hai hume,
sab sur kyu adhure lagne laage.

Bhid me bhi akela sa mann hai,
dur ho tum bas isi ka gum hai.
Pass rehte to pareshan karte the,
Ab sukh chin ke rakhne lage ho.

Chahe kai soo saal beet jayenge,
dil me hamesha tumare ayenge.
Kasam khate hai hum aaj phirse,
Maut bhi aye to dosti na bhulenge.




Tuesday, August 14, 2012

Unnamed

Pyar se usne pucha tha,
Yaar se maine bol diya.
Ki usne mujhe dekh liya,
Aisa hi mujhe kehna tha.

Anjan tha un baton se,
Pehle hua to na tha kabhi.
Ye rah bilkul nayi thi,
Par dil wahin par laga tha.

Usse roj nigahe dekhti thi,
Shaam wahin vo chuth jati.
Par pagal tha vo bhi uske liye,
Yehi to jaana maine tha aaj.

Jis din humne ye jaana tha,
Ki milna tha usse koi ek.
Vo dosti ki rah par se,
Dil ka rishta ab jayega.

Raat vo thami nahi thi,
Ujala pass na aaya tha.
Jaagti ankhon se maine dekha,
Kuch aapno me ek paraya tha.

Raat me usne vo kiya,
Jo kisine na socha hoga.
Pyar me koi kami na thi,
Par dosti usse nibhana tha.

Aashiq kayi hazar hue,
Dost bhi bahut bar mile.
Na mein usko bhul paya,
Na us jaisa koi mil paya.

Vo din ab sab chuth gaye,
Dil bhi maine sab tod liye.
Na maine phir dil lagaya,
Na koi aisa dost mil paya.

Ye rishta kaun kam leta hai,
Jo duniya me hi banta hai.
Doston ki koi kami nahi,
Par us se dost kam milte hai.