Pages

Search

Custom Search

Wednesday, August 22, 2012

Yaadien Tumhari

Aaj bhi vo galiyan waise hi hai,
aaj bhi vo ghar wahin par hai.
Bas aaj nahi hai to vo sab dost,
jinke saath hote the hum roj.

Masti se bhare the vo sab lamhe,
ghumne me nikalte the vo lamhe.
Tanhai si vo chod gaye ab dil mein,
rulate to kabhi hasate se pal ve.

Saadiyon se lagte hai ab ye din,
un raat bharke hungamo ke bin.
jaane kiss awaz ki talaash hai hume,
sab sur kyu adhure lagne laage.

Bhid me bhi akela sa mann hai,
dur ho tum bas isi ka gum hai.
Pass rehte to pareshan karte the,
Ab sukh chin ke rakhne lage ho.

Chahe kai soo saal beet jayenge,
dil me hamesha tumare ayenge.
Kasam khate hai hum aaj phirse,
Maut bhi aye to dosti na bhulenge.




No comments: