Pages

Search

Custom Search

Friday, January 25, 2013

Kal Aur Aaj

Taron ke bich me chand ko maine dekha tha,
Foolon ke bich ek gulab ki maine mehak li thi

Tumhe milne pe aisa laga jaisa sab mil gaya
Tumhare jaane pe yun lage ki dadkan chali gayi

Jis pal ko tumhe pehli bar dekha hai maine
Us din se palkon me sapne chupaye hai maine,

Un taaron me tumhe khojne do dil karta hai
Us upvan me tum sang khelne ko ji karta hai

Har lamha bas tumhe yaad karta hu me,
Har tanhai par tumhe dhundta hu me ,

Taron ke bich me chand ko maine dekha tha,
Foolon ke bich ek gulab ki maine mehak li thi.

Kayi parvat hum sang sang par kar gaye,
Par kuch kaate milne pe saath chod kar gayi.

Andhere rasto me bhi hum chalte chal jate,
Din ke ujale me kyu tanha chod kar chali jati.

Deware kitni bhi ho humme vo no rok pati,
Darwaje akele hi aaj humme alag kar paya .

Ishq hum karte the sabse chhip-chhip kar,
Dhoka humme de gayi tum sabko bata bata kar.

Taron ke bich me chand ko maine dekha tha,
Foolon ke bich ek gulab ki maine mehak li thi.

Waqt aisa badla aaj hum dono ke bich,
Dosti thi jo pyar me ab vo nafrat rahi sich.

Mehnat se banaya tha humne mil jo rishta,
Khoon ki nadiya bhi ab na jod paye vo rishte.

Naazro ke samne dekh dil dhadka karta tha,
Ab tumhari yaad aane par aag bhadka karti thi.

Tumse baat karne mann jo hamesha kehta,
Aaj har ek awaz tumse badla lene ko hi kheti.

Taron ke bich me andhere ko maine dekh liya,
Foolon ke bich in kaaton ko maine mehsus kiya. 


 

3 comments:

Namrata said...

Heart touching lines..keep it up:-)

sneh said...

good one. keep writing. :-)

sugandha said...

hmm nice work... agar feel karke likha h to mast h aur agar nahi likha h to imagination mast h :p :)