Pages

Search

Custom Search

Saturday, March 8, 2014

AAWAZ

Barish ke us shor mein, waqt pe nigah nahi.
Barfile dher ke bhitar, bhaitha veer sipahi.

Goliyon ki awaaz mein, karm vo nibhaiyga.
Patharo ke bich phir, hulchul na kar payega.

Raat andheri ho jaye, pag rukhna na chahiye.
Registani dhoop mein, hosla kabhi na hariye.

Kaantil banne hai ki, Jaan humme bachani hai.
Dhamako mein jiye, lekin maut se na darna hai.

Dur us sannate mein, hamari hifazat karte vo.
Haste rahe hum sada, isliye rote sehte hai vo.

Humari awaaz sune sab, unki chikh na sunai degi.
Prachar to dete hai log, par kya unse qurbani hogi.

Khoon ki keemat to ki, magar vo laho bahate gaye.
Hum gharon mein the, tab vo rann me jag chod gaye.

Aaj hum awaaz karenge, un veer bahadur ke naam.
Jinko zindagi me kar akela, jaan lagayi bharat ke kam.




No comments: