Pages

Search

Custom Search

Friday, October 3, 2014

College tales

College ki vo saari baatein, ban chuki hai ab yaadien.
Class jab chalu ho pati, kitab hamari band ho jati.
Assignments ho ya drawing, dost karte plotting ploying.
Karte the bas thodi shararat, aur phir patakte koi harkat.

Naadani thi aankon mein, shaitani tha sabka dimaag,
Jaane chahte padhne par, phirte the hum behisaab.
Canteen mein ho khana, Class mein jaake phir sona. 
Ghar jaate hai khehne ko, humne nikalna tha gumne ko.

Highway par hoti thi chai, aur dhabe par sasta khana.
Pani mein khelne jaate the, raet par kuch likh aate the.
Cricket humne bohot khela, aate the sab jaise ho mela.
College se pehle ki sab baat, chalti rehti thi puri raat.

Din vo ab sab kho jayenge, Raat ab tanha ho jayengi.
Shaam akele bita karengi, dophar ghar mein bitengi.
Dost ko dhundne lagenge, par unse na phir milenge.
Mauka hai ab ye masti ka, padhne ka aur hasne ka.

No comments: